Saturday, November 19, 2011

नन्हा मुन्ना राही हूँ देश का सिपाही हूँ .

झरोखों से झांकती इन आशायों भरी आँखों को इंतज़ार है अपने पापा का ,
महंगाई की मार में गायब हो गए , उनके थैले में आज क्या छिपा होगा ?
इस झिर्री से घूरती , इन मासूम आँखों में , एक डर हमेशा छिपा रहता है ,
ब्रेअकिंग न्यूज़ की गिनती में , उनके घर का मालिक न गिना होगा ?

" तुम कल देश के भविष्य हो " का भाषण देने वालों इन आखों में झाँक कर देखे ,
वह सिर्फ इस बात की चिंता में है..आज की रात का भविष्य क्या होगा !!
सरकारी आंकड़ों में खोये यह बचपन किस मजहब या जाति का है
शिक्षा , स्वास्थ्य और पोषण के किन योजनायों में इनका नाम आया होगा ?

याद रहे इतिहास ने गवाही दी है
Ballot और Bullet ..दोनों भाषायों में इसने अपनी खामोश जुबाने बोली हैं,
जब जब इन मासूम सी आँखों को इन सवालों का जवाब नहीं आया होगा !!!


Nanha Munna Rahi hun desh ka sipahi hun....

Jhraokhon se jhankati in aashayon bhari aankhon ko intezaar hai apne papa ka ,
Mahangai kee maar men gayab ho gaye , unke thaile men aaj kya chhipa hoga ?
is Jhirri se ghoorati , in masoom aankhon men , ek dar hamesha chhipa rahata hai ,
Breaking news kee Ginati men , unke ghar ka malik na gina hoga ?

" Tum Kal desh ke bhavishya ho " ka Bhashan dene walon in aakhon men jhaank kar dekhe ,
wah sirf is baat kee chinta men hai .aaj kee Raat ka bhavishya kya hoga !!
Sarkari Aankadon men khoye yah bachpan Kis Majhab ya jati ka hai
shiksa , Swasthya aur Poshan के kin yojanayon में inka naam aaya hoga ?

yaad rahe itihas ने gawahi dee hai
Ballot aur Bullet ..dono bhashayon men isnae apnee khamosh jubane boli hai,
jab jab in masoom see aankhon ko in swalon ka jawab nahi aaya hoga !!!

Poonam Shukla

No comments:

Post a Comment

आपके कमेन्ट और प्रोत्साहन के लिए धन्यवाद